Saturday, 18 February 2012

"Zindagi kisi chiz ki guarantee nahi deti"




Hi,
Today morning i read N.Raghuraman article "Zindagi  kisi chiz ki guarantee nahi deti" so i just thought that how true these words are....life kisi chiz ki guarantee nahi deti,na pyar,na rishte nothing jab in do kimti chiz ki he guarantee nahi to baki sab ki to baat kya karni....


Ye pyar,ye rishte hum he banate hai...phir bhi hum iski guarantee kyu nahi de pate????? kitne kamzor hain hum shayad...Jo rishte kabhi sabse khubsurat hote they wo aaj hote he nahi kyu??? jab ki unhe khubsurat bhi unhi logon ne banaya jo aaj unke na hone ki wajah hai....Aisa kyu ho jata hai jawab jara mushkil or meri samajh se pare...


Ek Bete ka  ka apne Maa-Baap  k sath waisa rishta nibha payege jaisa wo usey bada karte waqt nibhaye hai iski tak guarantee nahi hai kyu hota hai aise????


Kuch khubsurat rishte bhagwan ham bana k dete hai...kuch hum banate hai...but shayad samay rehte hum unka mahatva samajh he nahi pate or unko khone k baad afsos k alawa kuch nahi bachta....Kabhi kabhi kuch rishton main choti si baat per dooriyan aa jati hai par iska ye matlabkabhi nahi hota k wo toot gaye wo shayad in dooriyon main or bhi majboot hote hai basharte usey nibhane wale sacche dil se ek dusre se pyar karte ho....Par koshish karna chahiye ye dooriyan jaldi door ho jaye jo hai sama kal ho na ho....


isliye apne in kimti rishton ki value ko samajhna bahut jaruri hai kyuki "Zindagi  kisi chiz ki guarantee nahi deti" to zindagi ki khud ki bhi guarantee kahan se degi???

Tuesday, 8 November 2011

A big Hello to all....


I love writing...& I think Bloging se accha kya ho sakta...???
I just love to receive ur comments & implement in my blogs...


So keep following me...


Prakriti...